विज्ञापन
विज्ञापन

Lal Kitab Monthly Rashifal - January 2013

लाल किताब मासिक राशिफ़ल

January

Aries Horoscope

मेष (mesh) राशि

इस माह पदोन्नति की सम्भावना बनती है. भूमि- भवन- सम्पत्ति से लाभ होगा, घर में मेहमानों के आगमन से मन प्रसन्न रहेगा. यात्रा में सावधानी रखें.

Is maah padonnati ki sambhawna banti hai. Bhumi- bhavan - sampatti se labh hoga, Ghar me mehmano ke aagaman se man prasann rahega. Yatra me savdhani rakhe.

Taurus Horoscope

वृष (vrishav) राशि

इस माह आपको आपकी मेहनत के अनुरूप लाभ प्राप्त करने के लिए कठिन परिश्रम करना होगा. मानसिक तनाव न लें अन्यथा परेशानी होगी. स्वास्थ्य ठीक ठाक रहेगा.

Is maah aapko aapki mehnat ke anuroop labh prapt karne ke liye kathin parishram karna hoga. Mansik tanaav na le anyatha pareshani hogi. Swasthaya thik-thak rahega.

Gemini Horoscope

मिथुन (mithun) राशि

तरक्की एवं स्थानांतरण के योग हैं. वाहन चलाते समय सावधानी रखें. संतान की तरफ से शुभ समाचार प्राप्त होगा.

Tarakki evam sthanaantaran ke yog hain. Vahan chalate samay savdhani rakhe. Santaan ki taraf se shubh samachar prapt hoga.

विज्ञापन

Cancer Horoscope

कर्क (kark) राशि

कहीं से धन प्राप्ति के योग बन रहे हैं. घर में खुशहाली का वातावरण रहेगा, मन में प्रसन्नता रहेगी. किसी पुराने भूमि- भवन का निर्माण कार्य सम्पन्न होगा.

Kahin se dhan prapti ke yog ban rahe hain. Ghar me khushhali ka vatavaran rahega, Man me prasannata rahegi. Kisi purane bhumi-bhavan ka nirmaan karya sampann hoga.

Leo Horoscope

सिंह (singh) राशि

किसी से व्यर्थ न उलझें अन्यथा मतभेद हो सकते हैं. यात्रा करते समय सावधानी बरतें, कोई पुरानी बीमारी उभर सकती है. घर में मांगलिक कार्य होंगे.

Kisi se vyarth na uljhe anyatha matbhed ho sakte hain. Yatra karte samay savdhani barte, koi purani beemari ubhar sakti hai. Ghar me maanglik karya honge.

Virgo Horoscope

कन्या (kanya) राशि

घर में किसी के स्वास्थ्य को लेकर चिंतित हो सकते हैं. धार्मिक यात्रा के योग हैं, इस माह किसी विशेष उपलब्धि के योग बन रहे हैं. स्वास्थ्य के प्रति लापरवाह न रहे.

Ghar me kisi ke swasthaya ko lekar chintit ho sakte hain. Dharmik yatra ke yog hain, Is maah kisi vishesh uplabdhi ke yog ban rahe hain. Swasthaya ke prati laparwaah na rahe.

Libra Horoscope

तुला (tula) राशि

संतान की ओर से बड़ी उपलब्धि मिलने से मन प्रसन्न रहेगा, अचानक यात्रा के योग बन रहे हैं. गाड़ी चलाते समय ध्यान रखें. घर में शादी- ब्याह का माहौल रहेगा.

Santaan ki taraf se badi uplabdhi milne se man prasann rahega, achanak yatra ke yog ban rahe hain. Gadi chalate samay dhyan rakhe, ghar me shadi-byaah ka mahaul rahega.

Scorpio Horoscope

वृश्चिक (vrishchik) राशि

मन माफिक सफलता के योग हैं. पुराना चला आ रहा कोई काम पूरा होने से मन प्रसन्न रहेगा. अगर आप नौकरी करते हैं तो स्थानांतरण के योग हैं.

Man maafik safalta ke yog hain. Purana chala aa raha koi kaam pura hone se man prasann rahega. Agar aap naukari karte hain to sthanaantaran ke yog hain.

Sagittarius Horoscope

धनु (dhanu) राशि

स्वास्थ्य की ओर ध्यान दें, घर में नये मेहमान के आने से खुशहाली रहेगी. भूमि- भवन खरीदने के योग हैं. बच्चों की ओर ध्यान दें, समय पर कार्य पूरा करें, अन्यथा हानि हो सकती हैं.

Swasthaya ki taraf dhyan de, Ghar me naye mehmaan ke aane se khush-hali rahegi. Bhumi-bhavan khareedne ke yog hain. Bachcho ki tara dhyan de, samay par karya poora kare, anyatha hani ho sakti hai.

Capricorn Horoscope

मकर (makar) राशि

किसी पुरानी योजना को अंजाम देने का समय आ गया है. कार्य समय से पूरा होगा. वाहन चलाते समय विशेष ध्यान रखें. सफलताएं आपको मिलती रहेंगी.

Kisi purani yojana ko anjaam dene ka samay aa gaya hai. Karya samay se poora hoga. Vaahan chalate samay vishesh dhyan rakhe. Safaltaayein aapko milti rahengi.

Aquarius Horoscope

कुंभ (kumbh) राशि

मन प्रसन्न, बहुत दिनों से जिस काम को करना चाह रहे थे वो समय आ गया है. घर परिवार में खुशहाली व उत्साह का माहौल रहेगा, बच्चों की तरफ से भी समय अनुकूल है.

Man prasann, bahut dino se jis kaam ko karna chah rahe the vo samay aa gaya hai. Ghar parivaar me khush-hali va utsaah ka mahaul rahega, bachcho ki taraf se bhi samay anukool hai.

Pisces Horoscope

मीन (meen) राशि

घर में किसी मांगलिक कार्य के होने से मन प्रसन्न रहेगा. यात्रा के दौरान कष्ट हो सकता है, सावधान रहें. सुख- समृद्धि के योग हैं यदि आप व्यवसाय करते हैं तो समय अनुकूल है.

Ghar me kisi maanglik karya ke hone se man prasann rahega. Yatra ke dauraan kasht ho sakta hai, saavdhan rahe. Sukh-samriddhi ke yog hain yadi aap vyavasaay karte hain to samay anukool hai.

विज्ञापन

Connect with us

विज्ञापन

Numerology

अंकज्योतिष

आपका भाग्यांक आपके जन्म की तारीख का योग है। अपना भाग्यांक जानने के लिये अपनी जन्म तिथि चुने:-

अपनी चीनी राशि जाने

जन्मतिथि से आपकी चीनी राशि का पता चलता है| अपनी चीनी राशि जानने के लिए अपना जन्म बर्ष चुने:-
विज्ञापन
विज्ञापन

Disclaimer : raftaar.in indexes third party websites as a search engine and does not have control over, nor any liability for the content of such third party websites. This is an automated technology to crawl the web and does not intend to infringe on rights of any site. However, if you believe that any of the search results, link to content that infringes your copyright, please email us at admin at raftaar.in and we will drop it from our automated index.